Javed Miandad Biography
Pakistani cricket ki tareekh ka behtreen batsman all time grades mein kia numaya muqam ka hasiil aur Pakistan cricket ko kia naya chehra dene wale javed Miandad 12June 1957 ko karachi mein paida huwe. Javed Miandad ka walid ka taluq Karachi city cricket association se tha. Woh Muslim Gymkhana ka sports secretary bhi they. Cricket se bohot lagao hone ki wajah se in ki khawaish thi ka in kakoi beta cricketer bane. Javed Miandad ko bachpan se circket ka mahoul mila. Muslim Gymkhanamein Javed Miandad khelne ka thora bohot mouqa milta raha. 14 saal ki umar mein Javed Miandad ka shumar ache cricketers mein kiya jane lage. 1973 se 1974 mein in ko (KCCA) whites ka liye muntakhib kiya gaya. Sindh under 19 ka fainal ki dono innings mein sanctuary bana kar inhone selectors ki tawajah apni taraf mubazol karli. Iss ka bad kardar smar shild tournament mein inhone karachi wahites ki taraf se khelte huwe nathional bank ka kheliaf 331runs banaye.Javed Miandad kay musalsal umda kar kardagi ne rang dekhaya aur 1975 ka World Cup ka liye inhe team mein shamil karliya gaya. World cup mein apna phela match Javed Miandad West Indies ka khilaf khela aur 24 runs ki pur atemad innings kheli. Sri Lanka ka khilaf khele jane wale match mein Javed Miandad do wickets hasil kien aur not out rehte huwe 28 runs banaye. Javed Miandad ki kardagi dekhne walon ko mutasir kar gai aur inhein six’s county ki second eleven mein jaga mil gai lakin apni umdah karkardagi ki badolat woh jald hi nai senior eleven mein shamil hogaye.Javed Miandad ne apne test career ka agaz New Zealand ka khilaf home series se kiya. Iss team Imran khan bhi shamil they jo watan ki sar zameen per apna phela test khel rahe they. Javed Miandad ne is test ko jitane mein aham kirdar ada kiya. Javed Miandad ne aisi surathal mein batting shoro ki jab Pakistan ka 4 runs bare batsman out ho chuke thay. Javed Miandad, Asif Iqbal ki hamrahi inning ka agaz kiya aur apne phele hi match mein 163 runs ka bara score bana dala. Isi sires mein unhone kia double sanctuary bana kar double sanctuary banane wale sub se kam umar player hone ka azaz hasil kiya1992 ka world cup ka bad Imran khan retire hogaye to Javed Miandad ki jaga captain bane magar jald hi tareekh (history) ne kia bar phir khud ko dhuraya. team mein inteshar ki wajha se inhein qayadat chorna pari aur Waseem Akram ko captain banadiya gaya. Iss ka bad 1996 ka world cup ka bad woh kia aam khilari ki hasiyat se team ka rukan rahe aur world cup ka bad retire ho gaye. Retire hone ka bawajud cricket se Javed Miandad ka taluq toota nahi 2008 se 1999 mein unhone ne Pakistan team ki coching ki aur aj kal Pakistan cricket board ka director general ka tour per khidmat unjam de rahe hain. Javed Miandad ne kahi munfarid records apne naam kiye woh musalsal 6 world cup mein hissa lene wale wahid khilari hain aur in mudad chand khilariuon mein se kia jin ki test matches mein euns banane ki average kabhi 50 se niche nahi ai 2009 mein Imran khan aur Hanif Mohammad ka sath inhein 1CC ka Hall of Fame mein shamil kiya gaya.
No comments:
Post a Comment